Posts

Showing posts from July, 2019

Poem: Mere Sawal

Image
Poem: Mere Sawal Jisne ye srashti banai, Kya usne bhi bhed kiya? Kisi ko jholi bharke diya.. Kisi ko tinka bhi na diya... Kyu koi hai amir..Jise dunia me sab kuch mila... Kyu koi itna garib... Jise khana bhi nasib me na mila.. Kyu har insaan khush nahi..Kya hota hai ye dukh? Kaha koi dhunde khushiya...Kese milega sukh? Kya hoti hai sacchai or Kya hota hai jhoot?? Kon karega ye faisla, Kon sahi or kon galat??? Kesa karmo ka pher hai...Kya punya-paap ka gyan? Kyu itni asamantaye hai...Kyu nahi sab ek saman?? kyu hamne yaha janm liya.. Kya maksad hai jine ka? Sawal hai mere kitne sare...Intzaar hai jawab milne ka....  © RJ

Poem: Barish ki boonde

Image
Kitne samay se dharti ko, Barish ki boondo ka intzaar tha.. Ki kab wo zamin pe aaye or T handak ho jaaye... Sukhi banjar Zamin ki Pyas bhujha jaye... Or fir se Hariyali ki wo bahar aaa jaye... Aaj Karib se dekha to Mehsus hua.... Shayad Dharti ka wo intzaar ab khatm hua... Kitna gehra rishta, in Boondo ka Mitti se hai... Dono ke milte hi, Alag sondhi khushboo si hai... Lekin wo boonde jati bhi kaha..Akhir ana to unko yahi tha... Sawal to bas itna sa hai mera..Ki unhe itna door jana hi kyu tha?? ©   RJ